गद्य गुँजन योगदूत 2026 YOG BHARTIYE SANSKRITI KI DHAROHAR – Kanchan mala pandit

YOG BHARTIYE SANSKRITI KI DHAROHAR – Kanchan mala pandit



Hamare sarir aatma or maan ko jodne wala ek bhartiye prachin vigyan hai jise hm yog kahate hai .Swami Satya nanad sarswati drara 1963estd me sthapit bihar school of yog ke karan munger nagar me lagbhag poori duniye se log yog or aadhyatam sikhne aate hai.or mai v isi yog nagari munger ki ek niwasi hu .

Yog ko kewal aasan ya pranayam nahi kah sakte ye swasth jeevan jeene ki ek sampoorn saily hai.

“Yog karmashu kaushalam”

Arthat hm yah v kah sakte hai ki karmo me kushalta lana v yog hai.aaj se jeevan me yog na kewal sararik swasth ko sudhridh karta hai balki mansik santulan or aatmik shanti v pradan karta hai.

Yog bharat ki us sanatan gyan parampara ka amulya uphar hai jisne hazaro varsho se manav jeevan ko swasth santulit or sarthak banane ka marg dikhya hai.

Yog shabd sanskrit dhatu ‘yuj’ se bana hai jiska arth hai ‘jodna’.yog ka uudeshaya sarir maan or atma ke beech samanjasya sthapit karna hai.

Hamare bhartiye yog ki jadhe hazaro varsho purani hai.inke praman ki jankari bhartiye grantho,ved,upnashid,aadi me milte hai.yog ke siddhanto ko vayavashith karne ka shrey marshi patanjali ko diya jaata hai.jinho ne yog ke sutra ki rachna ki .patanjali ji ke anusar yog ke 8 angh hai.

1.yam

2.niyam

3.aasan

4.pranayam

5.pratyahar

6.dharna

7.dhyan

8.samadhi

Aaj yog vishwa bhar me apna sthan bana raha hai.sanyukt rashtra sangh ne 21june ko international yog diwas ke roop me manayata di .jo bharat ki sanskrit virasat ki vaishvik sanskitik ka pratik hai.

BHARTIYA SANSKRITIK ME YOG KA STHAN

“Yog bharat ki asi dharohar hai jisne na kewal bhartiye samaj ko prabhavit kiya valki poori duniya ko swasth shanti or santulan ka marg kihhaya.yog prayog kiya gaya darshan hai jo niyamit abhayas ke madhyam se self confidence or aatma jagrukta ko vikshit karta hai.

Hm bhartiyon ke liye yog garv ka vishya hai ki maan or sarir ko fit rakhne ke liye hamari prachin kala swikar  ki gai hai or duniye bhar me iski saharana ki gai hai .Bharat hamara sone ki chidiya raha hai,kai taraha ke khajano ka desh hai,or hm duniye ke saath unme se sabse achchhe khajano me se ek ko sajha karte hue bahut khush hai.

  Aaj ki bhaj daur bhari jindagi me jahan tanaw ek aam samashya hai,yog hame sararik rogon se mukti or manshik urja pradan kar ek aadarsh swasth or aanandmai jeevan jeene ki prarna deta hai.

“KERE YOG RAHENGE NIROG”

         Thankyou.

0 Likes
Spread the love

Leave a Reply